Read some of my earliest work in the form of hindi free verses
Free Style Hindi Poetry
Sharab pita hu ya zaher , sigaar jala raha hu ya zindagi …
Har dil azij cheez wo chinta gya to fir kyu kru me bandgi
Ye nashe to sahara hai iss bewajah si zindgi ka
Koi Unpe ilzam n lagana mout ka sabab to hogi teri dillagi
Meri bebasi pe thoda to taras kha ae malik gar tu hai
Had se jyada pita hu fir bhi bujti hi nhi dil ki tashngi
Kabhi dosto ko sahi raah pe chalne ki hidayat diya krta tha
Ab sochta hu mujme bhi thi kis kadar sadgi
कभी उसकी अदाओ से सादगी हया करती है
तो कभी सादगी से अदाएं जला करती है
वो ज़ुकाये पलके तो शाम ढले
जब बिखरे ज़ुल्फें उसकी तो रात हुआ करती है
दिल-ए-आवारा ठहरता है रुख़्सरो पे उसके
धड़कने रुके जब वो मिला करती है
उसके होंठो पे बहारों ने इल्ज़ाम लगाए है
उसकी वफ़ा पे फैसले तक़दीरें सुनाया करती है
जाते जाते पलट कर हर बार देखती है
जैसे दिल की बात इशारो में बयाँ करती है
Zindgi ke har lamhe ko bdi siddat se jine ka irada hai
Par mout aye bankr mehbuba to use bhi chumne ka irada hai
Apna to yuhi har sham nashe me zumne ka irada hai
Mout ko kahunga thoda thaher ja abhi or pine ka irada hai
Zindgi ke to har lamhe ko hm bdi siddat ji lenge
Or jab ayegi mout to use bhi mehbuba smj lenge
Zindgi ke har lamhe ko kuch aesi siddat se jine ka irada hai
Mout bhi aye agar to use mehbuba smj chumne ka irada hai…..
Zindgi ka kya aetbaar karna …kabhi bhi bewafa ho jaye
Koun janta hai kab mout bankr mehbuba aa jaye
Abhi hm itne bhi nhi bigde ki sambhal na. Ske
Ha tu hath n thame to shayad hm smbhal na ske
Bahot dur hai manzil meri pr itni bhi nhi ke
Tu hmsaar bne or hm us tak pahonch na ske
है ये तेरी महेरबानी तो फिर सितम क्या होगा
अभी से इतनी रंजिशें तो आगे सनम क्या होगा
Me ne lafzo se teri ek tasvir banayi hai …..
Soch raha hu wo tasvir falak e ishq pe rakh du …. Akhir zamane ko meri heer dikhabe ke liye ye tasvir banayi hai
Me asamaan ki chadar odhkar so jau , uss chadar pe lgi inn bindiyon ko ginta jau
Fir woh bachpan ka mere pasandida khilona jiska ammi pani me pratibimb dikhati thi ..pr jise me kabhi chu nhi paya …. Usko aaj raat bs dekhta jau …
Ammi kehti thi inn bindiyon me kuch hmare marhum bujurg hai …to kyu n …un me kisi apne ka chehra dhundhta jau .
..aklmand log kehte hai inn bindiyo pe bhi bastiyaa hoti hai …jo mil jaye aaj raat un basti ka koi banzara ..sang uske bate krta jau …. Aese me agar koi bindi tute to…. Me koi mannat mangta jau …par agar in sabse dil nhi bahela mera to …fir ho skta hai ..me roj hi ki tarah ..maikde chala jau ……
Ye raat ye chand ye sitare mujhe bekar nazar ate hai
Tere jane ke baad saher ke sare manzar benur nazar ate hai
Ab parayo se bhal kya sikayatein karna kya gile rakhna
Mujhe to apno ke hath me khanjar nazar ate hai
Hindi Free Verses
Aaj saher me bate krti ek gazal dekhi hai
Husn e bahar thi ya koi qayamat dekhi hai
Hoth paimane the to ankh jese maikda.
Shayad bate krti sharab dekhi hai
Ab Manzil ki kya arzu jab hamsafar hi koi nahi
Tujse kyu mohbbat kru jab wafa ki ummid hi koi nahi
Mere baad ae maahzabin tu meri ashqi ko tadpegi
Tere bahot chahnewale to hai par hmsa to koi nahi
Jab jaunga tere saher se to maikde wale royenge
Akhir sare saher me mujsa maimash bhi koi nahi
Mere baad ae saqi kon mehfil e meena ko rang dega
Akhir tere maikhane me mujsa maiksh bhi koi nahi
Mere baad kon tere maikde me bazm e sukhan sajayega
Akhir inn maiksho me hmsa maiksh bhi koi nahi
wo jo mohbbat ka ekbzamana tha , wo mukhtsar sa koi afsana tha
ek paikar e haseen thi ek mahjabin thi jiska me deewana tha
Had se guzar jana tha , bichad jana tha…maikhana kidhar jana tha ….nasha tha jise utar jana tha….ek kashti thi jise dub jana tha
Fareb the fitrat me …par usme kuch to baat thi
Wo jab mere sath thi …to taqidire kuch maherbaan si thi …. Muskilo kuch asaan si thi …. Ha magar fareb the fitrat me ..par usme kuch to baat thi …
Wo jab ati thi baho me ….to sanse thaherti or dhakne bhi to kuch ruk si jati thi….
…. Banjar dil pe bahar cha jati thi …. Meri awargi me sadgi aa jati thi… Banjaro si meri soch thi… Kahi thaherti n thi …pr wo jab sath hoti to muje ek manzil nazar aa jati thi …. ..woh jab bichdti thi … To meri ankho me nami hoti thi…. Labo pe lafz e alwida ke sath …. Usse ek sikayat bhi hoti thi …. Woh sikayat kuch yu hoti thi ….
Abhi to tum ayi ho jana …. Thodi der ruko fir chali jana….. Kal aao to na jane.ke liye aana …. Juth ki adat tumhe bhi hai …. Ghar walo se acha sa bahana banake chali ana….
Teri palko se sahare , teri zulfo ke.saye ..
Yaad hai wo pal jo tere sath the bitaye
Tuje yaad ho ya nhi wo bate wo kasme pr
Mene aaj tak tujse kiye wade hai nibhaye
Akhir Kyu pine lage sharab kya bataye
kya krte jo tanha rato me teri yaad sataye
Ab bhi shayad dono ke dil me jazbaat hai
Par gurur ki ye chilman pehle kon uthaye
Free style hindi poetry
Sine me dil to hai , dil me.dhadkne bhi hai rawaan … magar ab jazbato ki baat n kar
Mohbbat me tujhe rang badalte dekha tha , … Ab tu to wafa ki baat n kar
Kisi se ishq ho to ishq ka izhaar karna
Uspe nhi tum apni wafao pe aetbaar krna
Ha magar Jaldbazi me baat bigad skti hai
Tum sabr se sahi waqt ka intezaar krna
Abhi adatein itni bhi nhi bigdi ki sudhar n ske
Par yuhi chalta rha to ho skta hai fir hm smbhal n ske
Dil me ab bhi ek ummid hai to muskurata rehta hu
Par jo wo bhi tut jayegi to shayad fir kabhi hm muskura n ske
Log aaj bhi meri maikashi ka ilzam teri ankhon pe lagate hai
Meri tashnagi na sabab aaj bhi tere labo ka batate hai
Aaj bhi meri maikashi ka ilzaj log teri ankho pe lagate hai
Meri tashnagi ka sabab aaj bhi tere labo ko batate hai
Pankhar ma tutela phool fari khilta kem nathi
Swapno na tutela sisa fari judta kem natgi
Ketlak sathi mara divas raat na je hata
Zindgi ni bheed ma khovayel ketlak chehra hve jadta kem nathi
Un ankhon ki maikashi me zamana madhosh nazar ata hai
Iss saher me to har koi ae saqi ! tera deewana nazar ata hai
Bahot si hasinao se hai sohbatein apni or bhi haseen
Par ab to har chehre me mujhe tera hi chehra nazar ata hai
Uski ankhon ka samandar mere dil ke sehra ko bhigota hai
Uski rukhsaro pe mera dewanapan na jane kyu thaherta hai
Yuh to apni hi dhoon me rehta hu me har pal
Par shamo ko chehra uska meri ankhon me aa basta hai
Hindi Love Poems | Romantic Hindi Poems | Romantic Hindi Kavita